Wednesday, November 26, 2008

KAL HI KI JAISE BAAT THI

Kal hi ki jaisi baat thi
Wo tha aur mein uske saath thi
Tha chaand ka bhi ujiyala magar
Ek tanha kaali raat bhi thi
Chaand bhi gumsum tha
Aur mein bhi chup chaap thi
Par meri har dhadkan tujhi se
Kar rahi har baat thi
Kuch to usne bhi tha kaha
Jo dil ne suni mere baat thi
Kya tha wo mera haseen sapna
Ya kal tumhi se hui mulaqat thi
Sapna tha to jaagi kyu mein?
Kitni haseen wo mulaqaat thi
Sach hai gar to waqt lauta de wo pal
Jis pal mei mein unke saath thi

Wednesday, November 19, 2008

MEINE DEKHA HAI EK SAPNA


Meine dekha hai ek sapna
Haath mei uske haath apna
Chaht ki kuch baatein bhi
Chori chupke mulakaatein bhi

Wo behkaa hua tha kuch
Aur mein bhi kuch sharmayi si
Jaane kyu kal so kar bhi lage
Jaise mujhe neend na aayi thi

Pyaara pyaara tha mausam
Aur mehki thi kuch hawayein bhi
Raat akeli ne bhi thi odhi
Chaandni ki chaadar bhi

Dekh mujhe kugh ghabraayi si
Usne liya baahon mei tha thaam
Kaise keh paauon mein labzo mei
Kaise guzri thi kal ki shaam

Meine dekha tha ek sapna………
……………………………………

Tuesday, November 11, 2008

BACHPAN K DIN

karke yaad un beeti baaton ko
aankh se aanu bas behte hain
bachpan k din wo beete saare
aaj bhi ird-gird mere rehte hain

wo pal kitna acha tha hamdam
jisme saath mera-tera suhaana tha
jaane kya kyaa baatein karte the ham
khelna to tujhse milne ka ek bahaana tha

wo haath pakad galiyon mei tera
bas saara din jo bitaana tha
waqt ka kuch pata bhi na chalta
aur ghar tera jaise mera thikana tha

aata tha jab bhi tu saamne
dharkane ho jaati jaane kyu tufaani thi
shayd samajh na paayi thi mein tab
ki mein teri hi deewani thi

jab ham jawaa hue tab se
alag tera mera ghar pariwaar hua
roka har kadam sabne mujhe
tab jaan paayi mujhe tujhse tha pyaar hua

ek roz jo tu chala gaya tha chod mujhe
fir mera jeena tha dushwaar hua
dekh mere haalaat meri bebasi
papa ne fir mera byaah kar diya

ek mitti k putle ko tha sabne
jhoote armaano se tha fir sajaaya
par mere dil mei tha kya
na tujhe bata saki na zamaana jaan paaya

aaj tak jee rahi hoon mein dekh
rishton ka sir par bojh liye
har kadam par chadhti hai meri bali
bas zinda hoon to teri ek jhalak k liye

bas teri ek jhalak k liye........................

KHUD SE EK IRADAA KAR LOON

socha khud se ek iraada kar loon
jo pura kar sakoon khud se ek wadaa kar loon
na roungi ab na koi ashk bhi bahaungi
is tarah khushi sang koi naata kar loon

bhula doon ab se wo yaadein purani
jinhe yaad kar aankhon sirf aata hai paani
likhe hue un khaton ko bhi mein jala doon
socha khud ko ek aakhiri mein saza doon

ho jaaun khamosh odh kar fir kafan
na uthuu fir kisi ki bhi aawaj se mein
hai fir bhi ek aakhiri aarzoo ek dil mein
k maiyat uthe dekh le wo fir gaur se

k keh doon unhe wo alfaaz saare
k reh gaye hain kuch saaz mere adhure
choom loon unhe fir na rahi kuch bhi mein
k haathon mein unke fir aakhiri saans loo mein

socha khud se ..........................................

KOI APNA NA LAGAA


duniya ki bheed bhaad mei

sukh-dukh k is vyapaar mei

rishton k is janjaal mein

koi apna na lagaa

aane-jaane ki hod mei

fashion k is daur mein

apna teri k shor mein

koi apna na lagaa

paison ki pyaas mein

mit.te jazbaaton ki laash mei

kuch paane ki aas mein

koi apna na lagaa

kisi chaht k ehsaas mein

bikhre hue khwaab mein

dil k is vyapaar mein

koi apna na lagaa

zindgi mei ab or koi chahat nahi ...... ae bewafa mujhe teri ab chahat nahi