Monday, March 1, 2010

IK GUJARISH

ae-maut gujarish hai ik tujhse
tu chali aana chaahe jis roz bhi
par mere zism se jaan nikalne se pehle
ho sanam ki goad or haatho mei haath bhi

ae-maut aakhiri hai ik tamanna meri
tu chali aana chaahe jis roz bhi
dekh paau mein sanam ko jee bhar k
ho jaana mujhpar itni meharbaan bhi

ae-maut ik khwaab bun rakha hai meine
tu chali aana chaahe jis roz bhi
jiske bin adhure rahe zindgi bhar
saath chutne se pehle wo ho mere paas hi

DARD PURANA HAI

tadap dil ki ye kehti hai
zindgi mei kami kisi ki hai
hua najro ko dhoka hai
ye surat or kisi ki hai

mila mujhko jo kuch nahi
iska gila kisi se kya
jahaan mei hain or bhi mujhse
hai jinka koi nahi apna

shabdo ka fer badal hai bas
warna dard purana hai
rote hue pe haste hain sab
jaane kaisa ab zamaana hai

ae-baraste aasmaan sun le
dharti ki pyaas bhuji nahi
chaahat manzil ko paane ki
pathrili raahon se gujarana hai

NAYI SOCH

hai dil wahi dhadkan wahi
par raha koi armaan nhi
begaano ki is bheed mei
kho gyi pehchaan meri

hai soch nayi or preet nayi
par dil ka koi raajdaar nahi
ujri ujri in subaho mei
duub gyi har shaam meri

hain lekh naye or geet naye
par bajta koi ab saaj nahi
rang birangi is duniya k
rang aate ab koi raas nahi

Sunday, November 22, 2009

~*~khamosh khadi hu mein~*~

Uthte hue har sawaal par khamosh khadi hu mein
Liye zehan mei sab sawaal khud se ulajh rahi hu mein

Kya khoya or kya paaya meine yahi soch rahi hu mein
Har rishte ko ek taraazu mei tol rahi hu mein

Umeedo par bhi ab haq nahi khud sapne tod rahi hu mein
Mar chuki hu kabki fir bhi jii rahi hoon mein

Koi kehta hai ki ab meine sharafat kyu chod dii
Zindgi hai berang yahi sach sabse ab bol rahi hu mein

adhure hai alfaaz saare bas itna hi hai batana
apni kalam ko khud ab tod rahi hu mein

Wednesday, July 22, 2009

naye rishte......................

ek nayi duniya naya sansaar meine paaya hai
jaha har rishta apna to hai par sab paraya hai

chipa kar ashq jee rahi hu mein tanha
or sabko lage k meine khushi ko ap apnaya hai

anek bandhan hain par sabki hasratein hain mujhse kai
kaun jaane waqt ne mujhpar kya zulm dhaaya hai

chup chaap hi sehna hai mujhe ab sabkuch kyu ki
maa ne hi kaha tha beti ab maayka paraya hai

paheli si lagti hai kabhi kabhi mujhe ye zindgi
jiska koi hal na mujhe samaj aaya hai

beti-behan thi kabhi ab bahu hone ha haq paaya hai
kaun jaane k meine naye rishto mei kya khoyaa kya paaya hai

Friday, May 15, 2009

mumkin na ho


Ab is or laut aana shyd mumkin na ho
Chupa kar ashk muskurana shyd mumkin na ho

Mile ham tum fir juda bhi ho gayei
Par umra bhar bhula pana tumhe shyd mumkin na ho

Mera haaal na pucho to acha hai e-logo
Ab kisse wo purane bata paana shyd mumkin na ho

Badal rhi hain ab raahein manzil mile b na mile
Mehakte pyaar k gulistaa mei ab aana shyd mumkin na ho

Hai bohut kuch kehne ko magar alfaaz sab khatam
Khat jo rakhei hai sambhale unhe bhi padh pana shyd mumkin na ho

Hai safar aakhiri isliye kar rahi hu sabko salaam
Milte rahege sab magar hamara milpaana shyd mumkin na ho

Tuesday, May 12, 2009

mere dard ki koi dawaa do yaaron

mere dard koi dawaa do yaaron
mit na jaau kahi koi duaa do yaaro

aaj luut raha hai wajood talak mera
ho sakei aakar mujhe bachaa lo yaaro

ban rahei hai mere apne khud mere vyapari
ho sake koi boli tum hi lagaa do yaaro

ho rahi hai taiyari mujhe doli mei bithane ki
mujhe mera ab koi arth to bataa do yaaro

apne hi ghar mei mere apne bane hain dushman
jal rahi hu mein bas khaak hone se bachaa lo yaaro

zindgi ko mei ab tak samajh na paayi hu
ho sake to ab meri maut ka hi bojh tum uthaa lo yaaro