Friday, May 29, 2009

aaj bebas sa unhe paaya meine

mujhko bhula denge jo dawaa kiya karte the
aaj unhe bebas saa paaya meine
kehte the jo naam hamara na lenge kabhi
unki aawaj mei dard ko gunjta paaya meine
gurur tha jinko ki hai saath unke ye saari duniya
khud k hi khayalon mei unhe tanhaa paaya meine
najro mei jinke shohrat k siwa kuch na tha kabhi
khudki nigaahon mei khud ko sharminda paaya meine
bhale wo kehte rahe ki unko hamse kabhi mohobat na thi
par meri yaadon se lipat kar unhe aaj rota paaya meine

Friday, May 15, 2009

mumkin na ho


Ab is or laut aana shyd mumkin na ho
Chupa kar ashk muskurana shyd mumkin na ho

Mile ham tum fir juda bhi ho gayei
Par umra bhar bhula pana tumhe shyd mumkin na ho

Mera haaal na pucho to acha hai e-logo
Ab kisse wo purane bata paana shyd mumkin na ho

Badal rhi hain ab raahein manzil mile b na mile
Mehakte pyaar k gulistaa mei ab aana shyd mumkin na ho

Hai bohut kuch kehne ko magar alfaaz sab khatam
Khat jo rakhei hai sambhale unhe bhi padh pana shyd mumkin na ho

Hai safar aakhiri isliye kar rahi hu sabko salaam
Milte rahege sab magar hamara milpaana shyd mumkin na ho

Tuesday, May 12, 2009

mere dard ki koi dawaa do yaaron

mere dard koi dawaa do yaaron
mit na jaau kahi koi duaa do yaaro

aaj luut raha hai wajood talak mera
ho sakei aakar mujhe bachaa lo yaaro

ban rahei hai mere apne khud mere vyapari
ho sake koi boli tum hi lagaa do yaaro

ho rahi hai taiyari mujhe doli mei bithane ki
mujhe mera ab koi arth to bataa do yaaro

apne hi ghar mei mere apne bane hain dushman
jal rahi hu mein bas khaak hone se bachaa lo yaaro

zindgi ko mei ab tak samajh na paayi hu
ho sake to ab meri maut ka hi bojh tum uthaa lo yaaro

Monday, May 11, 2009

aadhi aadhi si hai meri khusi

aadhi aadhi si hai meri khushi
aadhe aadhe se reh gaye sapne mere
zindgi k is sukh dukh k bhavar mei
bichad gaye sab apne mere

yaadein yaadein hi bas hain reh gayi
armaan sab ab kho gaye
milke bichadna tha shayd ab hamei
ye aansu ab mujhse keh gaye

meine socha bhi na tha ki hoga aisa
tumse milne ko tadpenge ham is tarah
khushkismat hain ham ye tha mera waham
jal gaye khwabo k ab jahaan

socha tha kabhi milke ham
kar lenge sab durr shikwe gila
par aas bhi na rahi jhuti koi
khud mit gaye hain sab alfaaz

umeedon par bhi nahi koi yakeen
kaise karu ab koi dua
jo likha tha kismat mei mere
kaise koi badle ab use yahaan

aadhi aadhi si hai meri khushi
aadhe aadhe se reh gaye sapne mere.......................

zindgi mei ab or koi chahat nahi ...... ae bewafa mujhe teri ab chahat nahi