Friday, October 31, 2008

BARSAAT KI RAAT

kal aangan mei mere der talak barsaat hui
durr talak thi bundo ki rimjhim fir
kuch der mei hi khamosh hui
bundon ki rimjhim ne kuch aisa tarpaaya
sang mere meri tanhaai rahi
yaadon k saayei se ham bheege kuch is tarah
fir der talak ashkon ki barsaat hui
ye bundei kasak si kuch dil mei aisi jagaa gayi
jinhe bhula rahe the ham unhi beete lamhon ki yaad dila gayi
kuch gam ka daur badha is kadar
charon aur andhiyara hua
jo chiraag jalayei rakha tha hamne
usi diye tale fir andhiyaara hua
barsaat mei mor ki cuok ne kuch cheda aisa tarana
mere lab the khamosh par dil ki aasmaan se baat hui
kaha dil ne aasmaan se e-aasmaan ab aur na baras
na le tu aur mera imthaan
tere sang to hai suraj, chaand sang sitaare
par mera na koi yaahaan
par mera na koi yahaan......................

Thursday, October 30, 2008

TABAYAF

har roz ek kayamat hoti hai
kisi kothe pe kahin nilaam tabayaf hoti hai

sajti hai wo har roz dulhan ki tarah
har shaam fir be-aabru sare-aam hoti hai

nahi sunta koi bhi sadaa uski
kyu wahi har roz neelam hoti hai

har roz ek kayamat hoti hai
kisi kothe pe kahin neelam tabayaf hoti hai

behte hain ashq uske par chehre pe muskaan hoti hai
hoton pe hoti hai laali par dil hi dil wo khoob roti hai

har raat mehfil sajti hai aur bikne ko wo taiyaar hoti hai
na jaane kitni hi tabayaf is tarah roz neelaam hoti hain

har roz ek kayamat hoti hai
kisi kothe pe kahin nilaam tabayaf hoti hai

khamosh nigaahein uski jab dekhti hai sabko
haya laaj tab bhi uske saath hoti hai

par bhuke hawas k shikaari najar-andaaz karte hain sab
bas chilman par sabki nigaahein hoti hain

har roz ek kayamat hoti hai
kisi kothe pe kahin nilaam tabayaf hoti hai

har dard dil mei chupa khuda par karti hai wo aitbaar
sochti hai kabhi to aayegi uski zindgi mei bhi bahaar

kyu nahi sochte hain wo shaqs jo har roz unhe nilaam karte hain
unhi tabayafon mei koi kisi ki behan to koi kisi ki maa bhi hoti hai

har roz ek kayamat hoti hai
kisi kothe pe kahin nilaam tabayaf hoti hai

hai iltzaa meri un logo se band kar do ye barbaadi ka bazaar
mat banao kisi ki majburiyon ko koi kotha koi meena baazaar

har roz ek kayamat hoti hai
kisi kothe pe kahin nilaam tabayaf hoti hai

AJMAISH KA DAUR

likhne ko ab talak bohut kuch hai likha
par yaadon ka kaarwaan aur likha nahi jaata

katti dhoop bhi hai aur judaai bhi
bas ek saawan ka mausam gujara nahi jaata

mat soch ae-dil un beeti baaton ko
waqt ka 1 bhi lamha kabhi lautkar nahi aata

aate aate palkon mei sukh hi jaate hain aansu
par dard se nikli aah koi us tak nahi pahunchata

yu to khade hai ham is aur saahil pe magar
koi lehar mujhe baha le jaaye aisa tufaan bhi to nahi aata

thak gayi hoon aaj khud se ladte ladte mein
na jaane ye aajmaish ka daur thehar kyu nahi jaata

Tuesday, October 21, 2008

DURR KAHIN KHWAABON KI NAGRI


Durr kahin khwaabon ki nagri
Aur paas dard ka dariya hai

Bhujte armaano ki hai kashti
Aur tanhai ka safar ye lamba hai

Kabhi girti kabhi sambhalti
Ansuon se bhara raah mei jharna hai

Geeton mei bhi chubhte hain kaante
Sang lavfzo ka mere kaafila hai

Kabhi sochu ruk jaaon mein
Par us khwaab ko bhi paana hai

Rukhti thamti chalti hai zindgi
Ek ghaav thoda purana hai

Aaj dur manzil hai lekin
Ek roj use hi paana hai

Chaahe tufaano se ham uljhe
Par har dagar manzil ki taraf badhana hai

Tuesday, October 14, 2008

kuch rang waqt ne dikhaya


Kuch rang waqt ne dikhaya
To kuch saajishei apno ne rachi
Kiske saamne karte dard ham zaahir
Jab duniya meri apno k hatho hi luti

Ful sa najuk ek dil tha mera
Kaanch sa tut bikhar gaya
Aaj bhi tis hoti hai tute dil mei
Jo baat mere mann ko thi chubhi

Jisse wafaa nibhane k liye hamne
Har mumkin bagaawat ki thi
Aaj sulagati hai mujhmei ye kahi
Kyu meine bewafaa se mohobbat ki thi

Usne to hamei thukra hi diya tha
Khoon k rishto se bhi duur hui
BHAWNA khush rehti thi kabhi sada
Par duniya meri ab gamheen hui

mumkin hai meri palko k kuch aansu

THIS POETRY KI RELATED TO MY REAL LOVE
****************************************************

Mumkin hai mere palko k kuch aansu
Unki aankho mei bhi aate to honge

Hota hoga unko bhi dard magar
Meri tarah dard mei wo bhi muskurate to honge

Hamei hai yakeen yadon ka silsila unhe bhi ghere rehta hoga
Na chalak aaye udasi chehre pe, is tarah wo dil ko behlaate to honge

Mumkin hai k koi rehti hai unki baahon mei ab magar
Mere baahon k saayei unhei tanhaai mei ab bhi sehlaate to honge

Ranjish kabhi kabhi kuch wafaa k kisse
Wo khwaabo mei beete pal dohraate to honge

Yakeen nahi raha tha shayad unko meri wafaa pe magar
Hamare chahat k kisse wo sabko sunaate to honge

Keh rahe the wo ek roj, bhul jaayenge hamko magar
Bhulane ki chaht mei wo hamei yaad karte to honge

Aa jaati hai lab par mere jo khushi kabhi kabhi
Yakeenan wo duaon mei ab bhi meri khushiyan maangte honge

SACH BATA TUJHKO HAI KASAM

Bichadkar fir milenge ham
Ek roz tune ye wadaa kiya tha
Sach bata tujhko hai kasam
Aakhir teraa iradaa kya tha

Mujhe na ho dard yaa
Tujhe na bewafaa kahoon kabhi
Sach bata tujhko hai kasam
Kyu tune ye jhoota wada kiya tha

Tu to na aaya magar
Dekh mein intzaar fir bhi karti rahi
Sach bata tujhko hai kasam
Kyu tune chaht ka dikhawa kiya tha

Suna jab tu ban gaya kisi aur ka
Na mujhko ye yakeen aaya ab talak
Sach bata tujhko hai kasam
Kya tune sach mei kabhi mujhe chaha na tha!!!!!!!!

zindgi mei ab or koi chahat nahi ...... ae bewafa mujhe teri ab chahat nahi