Thursday, October 30, 2008

TABAYAF

har roz ek kayamat hoti hai
kisi kothe pe kahin nilaam tabayaf hoti hai

sajti hai wo har roz dulhan ki tarah
har shaam fir be-aabru sare-aam hoti hai

nahi sunta koi bhi sadaa uski
kyu wahi har roz neelam hoti hai

har roz ek kayamat hoti hai
kisi kothe pe kahin neelam tabayaf hoti hai

behte hain ashq uske par chehre pe muskaan hoti hai
hoton pe hoti hai laali par dil hi dil wo khoob roti hai

har raat mehfil sajti hai aur bikne ko wo taiyaar hoti hai
na jaane kitni hi tabayaf is tarah roz neelaam hoti hain

har roz ek kayamat hoti hai
kisi kothe pe kahin nilaam tabayaf hoti hai

khamosh nigaahein uski jab dekhti hai sabko
haya laaj tab bhi uske saath hoti hai

par bhuke hawas k shikaari najar-andaaz karte hain sab
bas chilman par sabki nigaahein hoti hain

har roz ek kayamat hoti hai
kisi kothe pe kahin nilaam tabayaf hoti hai

har dard dil mei chupa khuda par karti hai wo aitbaar
sochti hai kabhi to aayegi uski zindgi mei bhi bahaar

kyu nahi sochte hain wo shaqs jo har roz unhe nilaam karte hain
unhi tabayafon mei koi kisi ki behan to koi kisi ki maa bhi hoti hai

har roz ek kayamat hoti hai
kisi kothe pe kahin nilaam tabayaf hoti hai

hai iltzaa meri un logo se band kar do ye barbaadi ka bazaar
mat banao kisi ki majburiyon ko koi kotha koi meena baazaar

har roz ek kayamat hoti hai
kisi kothe pe kahin nilaam tabayaf hoti hai

No comments:

zindgi mei ab or koi chahat nahi ...... ae bewafa mujhe teri ab chahat nahi