adhure hain ham adhuri hai daastan
adhure hain mere sab armaan
farz rishto k nibhate hue
kho gaye jaane mere sapne kahan
wo mil sake aisa socha b na tha
ham hai yahaan aur ab wo hai wahaa
zabt saare hain zazbaat dil mei
un zazbaaton ko alfaaz dene ki ab himmat kahaan
raat kaali hai aur kuch baaki nahi
kuch kehne ko ab tanhaai bhi milti hai kahaan
bas ek sazaa si kat rahi hai zindgi
ab kuch khone ko bacha bhi hai kahaan
dard sabke leke khushi sabko dete rahe
khud k liye kabhi jeete aisi mohlat kahaan
BHAWNA jaise ban gayi hai ab patthar
tum hi kaho ab mere paas kuch kehne ko baaki kahaan
4 comments:
wah bhawna ji wah
subeh subeh aate hi dil ke
gahrieo se likhi hue jo taabir
hum ne padi aaj sach kahe bahut
aacha laga.
dil se daad kabool farmayen
shukriya baadal ji
hamne to sirf wahi likha jo waqt aur haalat ne hamare dil par ek apne gujre pal ki chaap chod di
aapko pasand aaya hamare liye itna hi kaafi hai
thnks a lot again
bahut khub bhawna ji,
bhawnaao ki abhivyakti bahut umda hai,aapko padna achha laga,
aage bhi intezaar rahega.
likhti rahiye aur aapne vichaar baant-ti rahiye.
bohut bohut shukriya jeet ji jo aapne hamare likhe ko padha aur saraaha .........
Post a Comment