Thursday, January 22, 2009

KALAM MUJHSE KYU RUTHI HUI HAI


Na Jane kalam bhi saath kyu chod rahi hai
Kuch dino se lag raha hai ye mujhse ruthi hui hai

Likhna chaahu to kuch bhi likha jaata nahi
Jabki paas iske shabdo ki gadhri bhari hui hai

Mana ki meine isse har baar bas gam-e-daur hi hai likha
Par kaise likhu koi khushi, basti khushiyon ki to suni padi hai

Jab jab dukhi hua hai dil kalam ne bas saath diya hai
Jane kya khata hui hai hamse ab jo ye bhi ruthi hui hai

Soch rahi hu ki kya kuch naya ab isse likhu
Meri zindgi to bas gamo se hi bhari hui hai

Sunday, January 18, 2009

BAADAL.....................kya tera astitva aur kyaa aakaar hai

THIS POETRY IS DEDICATE TO MY FRND BAADAL................

oas ki bundi ya paani ka bulbula
ya koi dhuyein ka bhandaar hai
jaan na paayi mein ab tak
kya tera astitva aur aakaar hai
zameen se dekhu gar mein tujhe
falak par durr najar aaye mujhe
tujhe chune ki laalsa mein dekh
chadh aayi mein kitne pahad anek
durr uchaaii par pahunchkar
tujhi mei mein bhi jaa mili
par samet paayu mein tujhe muthi mei
aisi na koi tarkeeb mujhe yaar mili
maa se pucha kya hai ye baadal
kuch bhi to jaan na paayi mein
daadi k kisso mei khoja bohut
par tera astitva pehchaan na paayi mein
tu hi bata mujhko tu baadal
tera kya rang kya aakaar likhu
baar baar sochkar mein haari
kaise mein tujhe apne paas rakhu
tu to mandrata rehta hai
tera mann bohut hi chanchal hai
jidhar karei hawa ye rukh
tu samjhe wahi tera ghar hai
pal mei dikhei pal mei simtei
pal mei tera aakar badhe
tu chahei to kar dei haryaali
ya le aayei apne sang tabahi liye
itna sab kuch tune sameta hai khud mei
kaise kaed tujhe kar paayu mein
jab jab paana chaaha tujhko baadal
tujhmei chupi chingaari se
khudko khaak bana aayi mein
khudko khaak bana aayi mein

tu hi bata mujhko tu baadal
kya tera astitva aur kya aakaar hai

Thursday, January 15, 2009

kuch khwaab mei beeti raat ki baatein


Chaadar par kuch sarbatein hain abhi
Jo tere mere Milan ki gawah hai sanam
Sanjoye rakha hai use meine ek band kamrei mei
Na udd jaayei kahin us pal ki meethas
Wo pehli chuan ka ehsaas jo mere
Zehan mei ab tak hai taazaa
Kuch chuimui si dheemi se machalti si baatein
Jo yaad hai mujhko ab tak
Ek jharoke se bas jhaank leti hu mein
Us kamrei mei
Jaha beeti thi hamari suhaag ki raat
Un meethi baton mei kuch aur sapne
Bas pirona chaahti hu mere hamsafar
Teri baahon k saayei mein kuch aur
Der sona chaahti hu sanam
Dua karti hu har pal apne us khuda se
Jiske rehmo-karam se tu mujhe mil paya hai
K lauta dei wo mujhe fir se wahi lamhei
Jo waqt kuch peeche chod aaya hai
Karti hu gujarish har waqt is hawa se
K chuu aaye wo tumhe aur ehsaas mujhko kara dei
Ye bir.ha ki ghadi kahi aur na ho jaaye lambi
Kahi isi intzaar mei k ham tum fir milenge
Gujar na jaayei meri ye umra yu hi tanha
Aa jao sanam ab tumse bhi yahi hai gujarish …………………..

Wednesday, January 14, 2009

baat bas itni si hai mere khafa ho jaane ki

baat bas itni si hai sanam mere khafa ho jaane ki
ki haq tune mujhpar apna kabhi jataya nahi

na rutha tu mujhse kabhi ye baat sach hai magar
jaane kyu tune mujhe kabhi manaya nahi

hote ham bhi saath aaj na hoti beech ye duriyan
yakeen nahi tha mujhpar to tune mujhe kyu aajmaya nahi

meine to koshishein bohut ki thi tujhe apna banane ki magar
jaane kyu tu jaankar bhi mujhe jaan paaya nahi

baat bas itni si hai sanam mere khafa ho jaane ki
ki haq tune mujhpar apna kabhi jataya nahi

ki haq tune mujhpar apna kabhi jataya nahi.................................

baat bas itni si hai mere khafa ho jaane ki

ki haq tune mujhpar apna kabhi jataya nahi




Tuesday, January 6, 2009

MEIN AUR KYA KARTI


Sunne wala jab koi na tha
To lab na silti to kya karti


Saamne ek dard ka dariya tha
To apne aansu na chupati to kya karti

Raat akeli taiyaar thi khadi
To gale tanhaai na lagati to kya karti

Jab raah mei biche sirf kaante the
To paanv chalni na karti to kya karti

Khamoshi jab lagi thi chubhne
To dil mei pyaar dafn na karti to kya karti

Kaun apna bacha tha ab yahaan
To tanha na chalti to kya karti

Har rehgujar ne bas dhoke the diye
To manzil na badalti to mein kya karti

Mujhe ilzaam dene waale tu hi bata
Tujh bin jeeti na to mein kya karti

Monday, January 5, 2009

SOCHA THA KABHI



Socha tha chalo ham bhi gam kisi ko apna sunayenge
Kabhi kabhi kuch pal achey bhi sang bitaeinge

Par badal gayi ritu hai jis tarah badal gaye wo bhi
Jis tarah ham tanha thei shayd usi tarah tanha ham chale jaayenge

Jab jab rukh kiya ki koi haal-e-dil mera bhi ab sune
Faasle aur darmiyaan jaanei kyu ye hote gaye

Bas yahi soch kar labo ko see liya hain ab hamne
K dhup ho ya chaaon ham kabhi na gungunayenge

Kuch adh-mite shabd jo kitabon mei ab tak kaid hain
Wo baad merne k mere yu hi padei reh jaayenge

Ab to us khuda se bhi aas tut.ti jaa rahi hai kuch
Jaanei kab uske desh se mujhe lene aayenge

Gam hazaron hain sunane ko par aasma bhi ab sunta nahi
Jane kab aasmaan par baadal ab mandraaynge

Barson ki pyaas hai ek dil mein kahi dabi hui
Jane kis saawan ye baadal pyaas bhujaayenge

zindgi mei ab or koi chahat nahi ...... ae bewafa mujhe teri ab chahat nahi