THIS POETRY IS DEDICATE TO MY FRND BAADAL................
oas ki bundi ya paani ka bulbula
ya koi dhuyein ka bhandaar hai
jaan na paayi mein ab tak
kya tera astitva aur aakaar hai
zameen se dekhu gar mein tujhe
falak par durr najar aaye mujhe
tujhe chune ki laalsa mein dekh
chadh aayi mein kitne pahad anek
durr uchaaii par pahunchkar
tujhi mei mein bhi jaa mili
par samet paayu mein tujhe muthi mei
aisi na koi tarkeeb mujhe yaar mili
maa se pucha kya hai ye baadal
kuch bhi to jaan na paayi mein
daadi k kisso mei khoja bohut
par tera astitva pehchaan na paayi mein
tu hi bata mujhko tu baadal
tera kya rang kya aakaar likhu
baar baar sochkar mein haari
kaise mein tujhe apne paas rakhu
tu to mandrata rehta hai
tera mann bohut hi chanchal hai
jidhar karei hawa ye rukh
tu samjhe wahi tera ghar hai
pal mei dikhei pal mei simtei
pal mei tera aakar badhe
tu chahei to kar dei haryaali
ya le aayei apne sang tabahi liye
itna sab kuch tune sameta hai khud mei
kaise kaed tujhe kar paayu mein
jab jab paana chaaha tujhko baadal
tujhmei chupi chingaari se
khudko khaak bana aayi mein
khudko khaak bana aayi mein
tu hi bata mujhko tu baadal
kya tera astitva aur kya aakaar hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
zindgi mei ab or koi chahat nahi ...... ae bewafa mujhe teri ab chahat nahi
-
Uthte hue har sawaal par khamosh khadi hu mein Liye zehan mei sab sawaal khud se ulajh rahi hu mein Kya khoya or kya paaya meine yahi soch r...
-
adhure hain ham adhuri hai daastan adhure hain mere sab armaan farz rishto k nibhate hue kho gaye jaane mere sapne kahan wo mil sake aisa s...
-
Ab is or laut aana shyd mumkin na ho Chupa kar ashk muskurana shyd mumkin na ho Mile ham tum fir juda bhi ho gayei Par umra bhar bhula pana ...
3 comments:
jayada to nahi lakin jawab dene ki koshish ki hai
Chahe mujhe tu majnu kehle chahe kehle mahiwal,
De doonga har baat ka jawab, kitne bhi tu ker le sawal,
Astitva or roop hai sab se nirala mera sun le mari juba,
Jisne bhi hai dekha mujhko use bahut gehra or unchua hi hu mila,
Khud main rehta hu main magan,nahi jaadu kisi ka chala,
Karta hu jo man hai mare, nahi kisi ka main gulam bana,
Sameta hai bahut toofan magar, Ashqo ka bhi hai sailaab bhara,
Koi nahi hai apna mera jo mujh se aake kabhi gale mila,
Nahi milunga kabhi kisi ko, kisi bhi kisse or kahani main,
Chala hu sirf be-baak ho ke, hamesha mera nishan hi hai mila,
Chingaari jitni hai mare ander, use sirf bijli ne hi hai chuna,
Nahi koi aisa himat wala Jis ne kabhi mujhe apna kaha,
Kehte hai sab apna mujhko, lakin raah main koi saath nahi chala,
Chanchalta ki jab jab hawa se maine,sapno main sirf main hi mila,
Kise ne chuna chaha unchai se, to koi mare piche piche chala,
Nahi aaya haath lakin, khud ko sirf ithlate hue hi mila,
Bhawna kyo aaye tare mann main mujhe mujhi main quaid karne ki,
Baar baar yahi sawal kyo tere jahen main mujhe sirf mila,
Pyar ka sirf pujari hu kyo abhi tak tujhe ye pata na chala,
Mile dunia main bahut chahne wale lakin tujh sa nahi koi mujhe mila,
Ker ke dekh koshish KHUDA ka naam le, kyo tu piche raha,
Ho jaayega khaak se swarnim jo pyar tujhe Baadal ka mila,
Karta hu jo man hai mare, nahi kisi ka main gulam bana,
Ho jaayega khaakh se swarnim jo pyar tujhe Baadal ka mila...............
baadal kya kahu mein tumhare is jawaab mei sach mei aisa lag raha hai ki har shabd mere tumhare gulaam se ho gaye
thanks to written these lovely words on my poetry
always welcome bhawna ji
Post a Comment