Sunday, November 22, 2009

~*~khamosh khadi hu mein~*~

Uthte hue har sawaal par khamosh khadi hu mein
Liye zehan mei sab sawaal khud se ulajh rahi hu mein

Kya khoya or kya paaya meine yahi soch rahi hu mein
Har rishte ko ek taraazu mei tol rahi hu mein

Umeedo par bhi ab haq nahi khud sapne tod rahi hu mein
Mar chuki hu kabki fir bhi jii rahi hoon mein

Koi kehta hai ki ab meine sharafat kyu chod dii
Zindgi hai berang yahi sach sabse ab bol rahi hu mein

adhure hai alfaaz saare bas itna hi hai batana
apni kalam ko khud ab tod rahi hu mein

4 comments:

बादल१०२ said...

bhawna ji parnaam, suker hai aap ka haal to pata chala,
aap ke ye sabd bahut kuch keh rahe hai jin ke liye mare pass sabd nahi hai,

Bahut kuch tut chuka hai dunia ki khatir,
Tod ke kalam tu khud pe sitam na ker.

bhawna said...

baadal thanks for your comment .......sach yahi hai mere dost ki ab kuch likhne ka bhi mann nahi karta or fir aise haalato mei mein kalam ka saath na chodu to bhala kya karu............???

i m 4 u said...

hi bhawna
h r u ? & itna naaraaz to koi kisi se nahi hota ?

bhawna said...

mere haalaat pe ae dost tu raham na kar
mujhe to haste haste ab dard sehne ki aadat ho gyi hai

zindgi mei ab or koi chahat nahi ...... ae bewafa mujhe teri ab chahat nahi