Tuesday, September 16, 2008

ZINDGI


Kabhi aasan kabhi mushkil kabhi chuimui si lagti hai zindgi
Gamo ki aandhi aa jayei to bhujte Deepak ki tarah chatpatati hai zindgi

Aaj bhula hai wo raahein mohobbat ki par ham yaad aayenge use
Bhula kar bhi na bhula paayein kuch yaadein hoti hai aisi zindgi ki

Kal aaj tha mera aaj atit wo ban gaya hai mera
Apne atit ko na bhula paana ek majburi hai zindgi ki

"naresh" aaj dekh tera naam meine apne shayri mei hai likh diya
kabhi dekh padhkar tu bhi kuch adhuri abhi kahani hai zindgi ki

aaj tu yaad aaya hai bohut na bhula paayi hoon mein ab tak tujhe
yu hi teri yaadon se gujar karna ab zindgani hai zindgi ki

Tuesday, September 9, 2008

MAAYKA

larki jaat hoon jaan lo tum bhi
baabul ka angna chiriya rein basera hai
chod ise kal udd jana hai
ye chand dino ka dera hai

jahan mein pali badi hui
chod ise ek din jaana hai
maa-baap ka aangan beti k liye
bas ek pardes suhana hai

kil-kil karti kilkari se
jahan gunjta beti ka bachpan hai
kaise bhul paye beti is aangan ko
ye aangan to beti ka darpan hai

tinka-tinka jod maa-baap saaman taiyaar karein
ek din fi maa-baap beti ka kanyadaan karein
aankhon mei aansu boto pe duayein aur jholi khali liye
bhaari mann se wo beti ko ghar se wida karein

hai reet yahi sadiyo se chali hai aa rahi
maayka hai chiriya ka basera har maa beti ko yahi samjha rahi
mein bhi dheer ye dhar li hai, ab na aur ashk bahana hai
chod is maayke ki dehliz mujhko bhi duur kahi udd jana hai

Sunday, September 7, 2008

CHAHAT

kuch sapne jo adhure hain abhi
kuch vaade jo pure karne hain abhi
kuch khwahishein jo mann mei hain bachi
bas unhe hi pura karna chaahti hoon mein

bahut rulaya hai maa-baapu ko apne
bahut sataya hai bhaiyon ko apne
ab unhei chand khushiyaan dena chahti hoon mein
bas sabka pyaar paana chaahti hoon mein

adhuri hoon mein adhuri meri kahani
bbas ek kalam saath reh gayi hai purani
ab kuch naye geet likhna chahti hoon mein
bas is dard se nijaat paana chaahti hoon mein

BHAWNA mat soch kyu tujhe wo na mil saka
wo nahi tha tera jo tera ho na saka
ab khatm yaadon ka silsila karungi mein
ab nayi zindgi ki shuruat karna chahti hoon mein

Thursday, September 4, 2008

wada jo mohobbat mei nibhaya na gaya

ret par likha tha jo kabhi naam wo saagar mei beh gaya
khawbo mei jo banaya tha armano ka mehal
khuli jo aankh ek pal mei hi tut gaya

mana tha jise kabhi apna wo nikla harjaaee
todkar mera dil wo muskura kar chala gaya

kar na sake ham to koi bhi gila unse
wo ek umra jo hamein tadapne k liye de gaya

raha dil mei mere pyaar bachpan ka ab tak maujood
par wo dekar apni kasam sab kuch bhul jaane ko keh gaya

hui hai hamse ek khata jo unka pyaar unki yaadein dil se na bhula sake
bas ek yahi wada hai jo mohobbat mei hamse nibhaya na gaya

Wednesday, September 3, 2008

GAYA WAQT LAUT KAR NAHI AATA

ye pal thahar kyu nahi jaata
kyu gaya waqt laut kar nahi aata

kitne khush the ham kabhi saath unke
kyu khushi ka wo pal laut nahi aata

wo sard mausam mei nange paao se chalna
baarish ka mausam fir saath bhigo kyu nahi jaata

hai nikalti to dhoop ab bhi hai har roz
fir gam ka ye mausam dhal kyu nahi jaata

na hoti thi kabhi koi dua hothon pe
to kabhi fir aaj uske bin dil ye behal kyu nahi jaata

sochti hai BHAWNA yu to dunia chalti hi jaayegi
fir mera hi waqt kuch sambhal kyu nahi jaata

KAR DIA AAJ UNKO UNHI K HAWALE

kar dia aaj unko unke hawale
aaj har rishta tod aayi hoon mein

daag daaman pe tha jo laga mere
usi k kuche mei wo daaman chod aayi hoon mein

rahe mashroof chahe ta-umra rahe wo tanha
ye faisla khud us par chod aayi hoon mein

hasaya tha jis shaqs ne mujhe beinthaan kabhi
aaj uske aankho mei aansu chod aayi hoon mein

bana maanjhi tha wo meri zindgi ki kashti ka kabhi
ab gamo k tufaano mei use chod aayi hoon mein

shayad yahi saza bhi hai meri k rahoon mei uske bin
jise apni yaadon k hawale chod aayi hoon mein

EK WADAA

E-mere dosto kuch to saath nibha jaao tum
saj rahi hai meri maiyat k ab to aajao tum
chali hoon aaj mein hokar ruksat is jahan se tumhare
ho sake to kandha mujhko laga jaao tum

aane se pehle ek wadaa karna hoga
na royoge jam mujhe dafnaoge tum
bana kar mere lafzo ko adhuri si khushi
sada apne labo par sajaoge tum

waqt beete chahe jitna na yaad karna mujhe
ho sake to bas maaf karna mujhe
mujhpar kya beeti na unko bataoge tum
sach kehna dosto ye wada to nibhaoge tum

kati patang si meri zindgaani ho chali thi
unko kehna BHAWNA unki diwani ho chali thi
khwaab adhura lal jode mein mere sajne ka reh gaya
ab mujhe safed kafan se to sajaoge tum

sach kehna dosto ye wada to nibhaoge tum
ho sake to kandha mujhe bhi laga jaao tum...........................

KAASH AAP AUR HAM

kaash aap aur ham fir ajnabi ho jaayein
ajnabi bankar kuch aur kareeb aane ki koshish to karein

kaash najar se najar fir pehli baar takra jaayei
haya aur laaj k parde se ham fir baat karein

na hone deinge fir zamane ko apni mohobbat ki khabar
is tarah ajnabiyo ki tarah ham mulaakaat karein

khileinge fir ful gulshan mei bahar aayegi fir yahan
chube jo kaante paanv mei aao un kaanto ko saaf karein

bankar ajnabi is tarah se fir apna tujhe bana le is baar
k hokar majbur khuda bhi na hamei kabhi fir judaa karei

aa jao chalein fir unhi gumnaam galiyon mei ham-tum
jahan ranjish, na dushmani ka koi karwaa fir nikle

HAADSON KA JAHAAN

haadson ka jahaan

kahi par bhukmari to kahi pe parti.yaan
yahi hai dosto haadson ka jahaan
kahin andher sunsaan si hain sadke
to kahi pe roshni se chamchamati si manzilein

kahin saj rahi hai dharti dulhan ki tarah
to kahin rang khoon ka hai ispe sajaa
yahi hai dosto haadson ka jahaan

kahin boond paani ko tarasta hai bachaa
to kahin paani ne hi sabkuch tabaah hai kiya
kahin jashn-o-diwali manate hain log
to kahin shok mein dube hain ghar
yahi hai dosto haadson ka jahaan

kahin girte ko aur girate hain log
to kahin sambhalna khud pad raha hain yaha
kisi k ghar khajaane se hain bhare
to kahin koi 2 paise ko taras raha hai yahaan
yahi hai dosto haadson ka jahaan

nojavaan giraft hain aaj sharaab k janjaal mei
paise aur andher nagri k moh-maal mei
bech apne sanskaaron ko khush hain ho rahe
ve nahi jaante aaj wo kya hain kho rahe

dheere dheere khatm hai bhaichara ho raha
har koi yahaan aham hai kar raha
kar lo band aaj bhi is vyapaar ko
nahi to kho doge ek din apne aapko

sach hai yahi jaan lo ab ye tum
dharti maa hi hai sab kuch bachaa lo iski aan ko
karo kuch aise karam k lute na ye fir kabhi
iski aanchal mei na pade fir khoon k daag kabhi

har taraf haryaali aur shaanti chain ho
na koi fir keh sake koi bhi yaha

k yahi hai haadson ka jahaan

MAA

Maa tujh bin kuch acha nahi lagta
Tere baton k siwa kuch bhi sacha nahi lagta
Bhai bhi rehta udaas hai
Maa tu bata kyu tu hamse itni naaraj hai

Papa bhi gumsum se rehte hain
Sab ghar mei khoye khoye se rehte hain
Bas ek tujhse milne ki aas hai
Maa tu bata kyu tu hamse itni naaraj hai

Tu gar rahi hamse khafa
To ham bhi zindgi se kar lenge zafaa
Kya tujhko nahi aata hampar taras hai
Maa tu bata kyu tu hamse itni naaraj hai

Jab tak na sun le ham teri aawaj
Na jaane kyu kuch bhi nahi aata hai raas
Chutki bhi tujhi se karti pyaar hai
Maa tu bata kyu tu hamse itni naaraj hai

Tu gayi hai jabse chod kar hamei yaha
Waqt le raha hai sekdon imthaan
Ab aur dard hota na bardaash hai
Maa tu bata kyu tu hamse itni naaraj hai

Laut aa maa tu ham na phir tujhe satayenge
Jo tu kahegi use haskar maan jaayenge
Tu aaja ek baar bas yahi fariyaad hai
Maa tu bata kyu tu hamse itni naaraj hai

zindgi mei ab or koi chahat nahi ...... ae bewafa mujhe teri ab chahat nahi