Sunday, September 7, 2008

CHAHAT

kuch sapne jo adhure hain abhi
kuch vaade jo pure karne hain abhi
kuch khwahishein jo mann mei hain bachi
bas unhe hi pura karna chaahti hoon mein

bahut rulaya hai maa-baapu ko apne
bahut sataya hai bhaiyon ko apne
ab unhei chand khushiyaan dena chahti hoon mein
bas sabka pyaar paana chaahti hoon mein

adhuri hoon mein adhuri meri kahani
bbas ek kalam saath reh gayi hai purani
ab kuch naye geet likhna chahti hoon mein
bas is dard se nijaat paana chaahti hoon mein

BHAWNA mat soch kyu tujhe wo na mil saka
wo nahi tha tera jo tera ho na saka
ab khatm yaadon ka silsila karungi mein
ab nayi zindgi ki shuruat karna chahti hoon mein

2 comments:

Pappi22g said...

Har kisi ko pakarna uski adat thi,
Har kisi sey ladna uski adat thi.
Woh jisko tanhai se dar lagta tha,
Mager tanhai main rehna uski adat thi.
Woh mere har sach se khush hoti thi.
Use humesha jhoot bolne ki adat thi,
Woh mere 1 anso girne sey khafa hoti thi.
Leykin tanhai main rone ki adat thi.
Woh kehti thi mujhye bhol jauge !
Jisey meri har baat yaad rakhne ki adat thi.
Woh jo dil-o-jan mujh pe nichawar kerti thi.
Mager choti si bat per rothna uski adat thi...

bhawna said...

thnk u so much ajnabi dost
thnks for reply

zindgi mei ab or koi chahat nahi ...... ae bewafa mujhe teri ab chahat nahi