Monday, March 2, 2009
~*~ajeeb baat hai~*~
Ajeeb baat hai k duniya
Ajeeb mijaaz hai
Koi boond paani ko hai taras raha
Kisi k haatho mei jaam hai
Har koi duhaai deta hai bas
Apne hi gum-o-saaz ki
Jabki yahaaan rangeen mehfilo mei bhi
Kuch dil veeraan hai
Kise hosh hai khabar kise yaar ki
Har kisi ka to bas chehra fareb hai
Rishto ko rond rahei hain sab paise ki aad mei
Khoon bik raha ab maati k mol hai
Bebas aur laachari k ham tum bhi shikaar hai
Shayar yu to is mehfil mei hazaar hain
Koi khud par likhe to kisi ne dusro ka gam liya udhaar
Ye duniya kuch nahi bas sukh –dukh ka ek bazaar hai
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
zindgi mei ab or koi chahat nahi ...... ae bewafa mujhe teri ab chahat nahi
-
अधूरे है हम तेरे बिना ये बात अब खुदसे भी छिपायँगे तरसोगे हमसे मिलने के लिए हम तुझसे दूर अब इतने चले जायेंगे
-
तरस गए हम तुमसे दो पल की गुफ्त-गु के लिए और लोग कहते हैं की तुम बोलते बहुत हो।. . . . . भावना
-
Aaj mein jaankar kuch hairaan hoon Shayd mein apni pehchaan se anjaan hoon Maloom na tha ki ladki hona abhishaap hai Ladki janm lena shayd p...
2 comments:
good bhawna ji, i like ur words on reality.
thnks baadal ji
Post a Comment