Wednesday, February 25, 2009

mujhse koi sawaal na pucho

mujhse mera haal na pucho
kaed hai sab kuch koi zajbaat na pucho

ek masihaa jisne diye mujhe itne gam
kyu usne kiya aisa koi mujhse ye sawaal na pucho

hai khuda wo ab bhi mere liye
aankho se kyu barasti hai barsaat na pucho

hoga dard unko bhi bichadjaane ka itna pata hai
meri khaamoshi mei chupe haalaat na pucho

ho sake to dena bas duayein unke liye
kyu hai khaali mere haath bas aaj mujhse koi baat na pucho

Wednesday, February 11, 2009

kaise zindgi ham bitayenge



Hogi takleef hamei jab ham tujhe bhula na paynge
Ye beete hue lamhe har lamha hamei tadpayenge

Aadat si ho gayi thi tere saath waqt bitane ki
Bichadkar tujhse kaise ab ham reh paaynge

Maalum hai mujhe tujhe is baat ka gam na satayega
Tujhe to kai aur chaahne waale bhi mil jaaynge

Meri soch tak mei kabza ab tera ho chala hai
To bata tujh bin ham zindgi kaise bitaynge

zindgi k safar mei


zindgi k safar mei kuch mukam aise aaye hain
jaha jaan gaye ham k kaun apne kaun paraye hain

preet aisi ki thi kabhi hamne jiski tis ab tak hai
kaise samjha pau khud ko ki wo hamei bhul aaye hain

raahein alag na thi par manzilein badal hi gayii
un raahon par kuch yaadein bas ham chod aayei hain

uthe us par koi ungli to dard hota hai mujhko ab talak
jabki daag daaman par mere bhi hai jo ab tak dhul na paye hain

Monday, February 9, 2009

~*~silsila rehne diya~*~

khamosh raaton ka ek silsila rehne diyadil
rota raha aur bas rone diya
kabhi shab par nami to kabhi aankho ki nami
par chehre par ek muskaan ka silsila rehne diya
kehte hain log ki mein kuch badal gayi hoon ab
par zehn mei meine kuch chaahton ka silsila rehne diya
har kali khil kar murjhaaygi hi jaante the ham
isliye bhawron ka aana-jaana baagon mei rehne diya
khuda bhi kya khoob karishma dikhata hai doston
rishte banakar har rishte mei judaai ka silsila rehne diya

Friday, February 6, 2009

mujhse meri pehchaan na pucho

Mujhse meri pehchaan na pucho ae logon
Khud meine apna astitva na jaan paaya hai

Kiske khone ka gam karein ham ab
Mera saath khud jab mera na saaya hai

Apno ki bheed mei kho diya meine khud ko
Aur kuch rishton ka bojh meine ab tak uthaya hai

Kab beet gaya mera bachpan kab jawani aa gujar gayi
Waqt tezi se mujhko antim safar par ab le aaya hai

Lo mein ho rahi hoon ruksat tumhare is jahaan se

Jismei meine har lamha ek naya dard paaya hai

Thursday, February 5, 2009

ladki hona shayd abhishaap hai



Aaj mein jaankar kuch hairaan hoon
Shayd mein apni pehchaan se anjaan hoon

Maloom na tha ki ladki hona abhishaap hai
Ladki janm lena shayd paap hai

Sochti hu ki kyu mein itni badi hui
Jab khud k liye hi koi faisla lene ka na adhikar hai

Itne shok se meine kuch armano ko tha badhawa diya
Jaanti na thi ki sapne dekhna bhi paap hai

Har zimmedaari har farz b-khubi mein nibhati rahi
Zindgi jeene ka haq khud par se mein gawaati rahi

Sab kuch swikaar tha maa-baap ka faisla
Har faisle par mein sar apna jhukati rahi

Sabko samjha meine par koi mujhe na samjh paaya
Sabkuch hai luta diya kuch bhi to nahi jise mein paa saki

Tuesday, February 3, 2009

jaane kya ho gaya hai mujhe



Kehne ko bohut kuch baaki hai abhi
Sajo saaman sawarne ko pada hai abhi
Rukti hu fir dekhti hu aaine mei khud ko
Lagta hai bohut kuch dekhne ko baaqi hai abhi

Sote sote udh jaaya karti hu aaj kal
Sochti hu kya kuch bhul aai hu kahin
Fir zehan mei khayal tera aa jaata hai Jane kyu
Lagta hai jaise tujhi se mil k aayi hu abhi

Pal pal ek bechaini si hone lagi hai dil mei
Khudi se baatein karne lagti hu kabhi
Saara jahaan kehta hai ishq is rog ko
Gar hai ye rog to mere is marz ki dawa hai tu hi

Monday, February 2, 2009

WAQT AAJ KIS MOD PE LAAYA HAI


Waqt mujhe aaj us mod pe le aaya hai
Jahan gaer to kya apna saaya bhi paraya hai
Kuch ankahei shabdon ki chubhan dil mei kahin
To kabhi khamoshi ne dil mei dard badhaya hai

Kis rishte ko mein “apna” hone ka naam du
Har rishte ne mujhe baar baar thukraya hai
Kabhi majburiyon ka de waasta mujhe
To kabhi be-wafaa keh mujhe daaman apna chudaya hai

Ye maan kar der hai magar andher nahi khuda k ghar
Khud hi kaanton ko galei apne lagaya hai
Mat pucho k ab mere gamo ki hadd aur kya hogi
Milti rahei sabko roshni isliye khud apne ghar ko ab meine jalaya hai

zindgi mei ab or koi chahat nahi ...... ae bewafa mujhe teri ab chahat nahi