Mujhse meri pehchaan na pucho ae logon
Khud meine apna astitva na jaan paaya hai
Kiske khone ka gam karein ham ab
Mera saath khud jab mera na saaya hai
Apno ki bheed mei kho diya meine khud ko
Aur kuch rishton ka bojh meine ab tak uthaya hai
Kab beet gaya mera bachpan kab jawani aa gujar gayi
Waqt tezi se mujhko antim safar par ab le aaya hai
Lo mein ho rahi hoon ruksat tumhare is jahaan se
Jismei meine har lamha ek naya dard paaya hai
1 comment:
dil ke jajbaato ko sabdo main kaise piroya jaata hai ye humne aap se hi sikha hai bhawna ji bahut khoob.
Post a Comment