Thursday, February 5, 2009

ladki hona shayd abhishaap hai



Aaj mein jaankar kuch hairaan hoon
Shayd mein apni pehchaan se anjaan hoon

Maloom na tha ki ladki hona abhishaap hai
Ladki janm lena shayd paap hai

Sochti hu ki kyu mein itni badi hui
Jab khud k liye hi koi faisla lene ka na adhikar hai

Itne shok se meine kuch armano ko tha badhawa diya
Jaanti na thi ki sapne dekhna bhi paap hai

Har zimmedaari har farz b-khubi mein nibhati rahi
Zindgi jeene ka haq khud par se mein gawaati rahi

Sab kuch swikaar tha maa-baap ka faisla
Har faisle par mein sar apna jhukati rahi

Sabko samjha meine par koi mujhe na samjh paaya
Sabkuch hai luta diya kuch bhi to nahi jise mein paa saki

2 comments:

बादल१०२ said...

ek ladki ki majboorion ko aap ne jis tareh sabdo ki mala main piroya hai wo apne aap main bahut khoob hai, main maanta hu aap ki har baat lakin kya kare humare samaj main ye ek burai hai jise jaane main sayad bahut time lage ki ek ladki bhi insaan hoti hai na ki patther.

Unknown said...

Bhwna ji ,

Dil ko chu gaye aapke shabd.. Humare samaj mein Yadi koi ye kahe kei mein apni beti se pyaar karta ya karti hun (kuch exceptions ko chor ke), to vah nihayti jhoot hai kyunki, unke her shabd mein ek hi baat hoti hai ki "apni beti ko mein protection isiliye deti/deta hun, ki kahin use kuch ho na jaaye, verna pariwaar ki IZZAT nilaam ho jayegi". Gaur kijiyega shabd "IZZAT", jab tak ladkiyon ko Beti ke roop mein pyaar na kerke, ghar ki izzat hi samjha jaayega tab tak unke adhikaaron ko khatm kerte raha jaayega, ye hi vidambana hai..

zindgi mei ab or koi chahat nahi ...... ae bewafa mujhe teri ab chahat nahi