Thursday, March 26, 2009

~*~aakhiri mulaakat hai wo keh gaye~*~

Khushi mili gam bhi mile
Rishto mei faasle har dam mile
Kaise karte ham kisi se koi gila
Banke hamdam the sab hamse mile

Har roz ki tarah Deepak mei lau thi jail
Tez tufaan magar hamko kam na mile
Bujhti lau ko bachane ki koshish mei
Hath par zakhm khilte rahe

Mita mita sa kuch likha hua hai magar
Takdeer mei likha jo use padh na sake
Waqt ne bana diya auro ki najron mei kaatil
Khud se kabhi mil paate aise na hamei pal mile

Mumkin har baat kar lete gar hoti thodi or mohlat
Par pal hamko zindgi k ab bohut kam hain mile
Wo bhi keh gaye aakhiri mulakaat hai ab
Jab antim safar par khud ham chal the diye…..

Wednesday, March 25, 2009

zindgi ..............

zindgi k is mod par har sach ubhar kar aaya hai
samjha liya meine ab dil ko ki preet is jag ki jhuti hai

baap-bhai,beta ya biwi har rishta hi khota hai
dekh liya BHAWNA ne ab parakh kar har rishte ki dor kacchi hai

wafaa-prem se is jag ka koi naata nahi
waqt ne dikhla diya har cheez yahaan par bikti hai

bhai hai bhai ka dushman, maa khud beti ki vyapari hai
til-til kar bilakh rahi zindgi kaise kahu kya laachari hai

vishwaas k naam par har dil mei basaa dhoka hai
kaise samjhe BHAWNA har chehre par chadha mukhota hai

masumiyat bachon k chehre ki ab dekhne ko bhi milti nahi
jaat dharam k naam par mandir mazid mei bhi ab milti roti hai

dil dukhta hai ye sochkar ab mera doston
sona ugalne wali ye dharti ab khoon k aansu roti hai

Sunday, March 22, 2009

E-Zindgi teraa shukriya

E-Zindgi nahi koi tujhse gila
tune to har-su mera saath hai diya
badnaseeb to meri takdir hai nikli
jo har koi mujhse bichdta gaya
aaj fir koi mujhse bichda hai yahaan
jisne har waqt hasaane ka waadaa tha kiya
mukar gaya wo har baat se apni
keh gaya usne to bas dikhawaa tha kiya
mein ro bhi na saki or har khushi bhi chin gayi
har khwaab mera jal khaak ho gaya
mein jalti rahi or aankhein surkh thi
kya biti hai mujhpar kisi ko pata bhi na chala
karu kyu ab mein koi uske liye dua
jo usne chaaha wo use mil gayaa
mila diya tune ek nayi haqikat se mujhko
E-Zindgi karu ab mein tera shukriya
************************************
E-Zindgi tera shukriya
************************************

Friday, March 20, 2009

kyu khudko mujhse judaa karte ho

Ae-mere hamnashee
kyu tum mere kareeb aakar
har baar mujhe duri ka ehsaas kara jaate ho
mein har baar apne ko
virha ki agni mein jalaakar kathor banati hu
kyu tum mere paas aakar
mom ki tarah mujhe pighla jaate ho
jab bhi tanhaai ko samjhne lagti hu ek saheli
kyu tum aakar ujiyaare mei
mujhe khud se milaa jaate ho
na samajh paayi na jaan paayi hu abtak
ki tum kaisa prem mujhse karte ho
dil mei rakhte ho penaah mohobbat
fir kyu dikhlaane se darte ho
har baar khud hi uljh jaati hu
apne hi anginat sawaalon mei
kyu kehkar mujhe k tum mere ho
fir kyu khudko mujhse judaa karte ho
kyu khudko mujhse judaa karte ho...........

Thursday, March 19, 2009

dekhkar wo hamko munh fer liya karte hain

ye karke wo hampar ek or sitam kar dete hain


yakeen nahi hota k ye wahi shaqs hai

Sunday, March 15, 2009

adhure hain ham adhuri hai daastaan

adhure hain ham adhuri hai daastan
adhure hain mere sab armaan
farz rishto k nibhate hue
kho gaye jaane mere sapne kahan
wo mil sake aisa socha b na tha
ham hai yahaan aur ab wo hai wahaa
zabt saare hain zazbaat dil mei
un zazbaaton ko alfaaz dene ki ab himmat kahaan
raat kaali hai aur kuch baaki nahi
kuch kehne ko ab tanhaai bhi milti hai kahaan
bas ek sazaa si kat rahi hai zindgi
ab kuch khone ko bacha bhi hai kahaan
dard sabke leke khushi sabko dete rahe
khud k liye kabhi jeete aisi mohlat kahaan
BHAWNA jaise ban gayi hai ab patthar
tum hi kaho ab mere paas kuch kehne ko baaki kahaan

Thursday, March 5, 2009

~*~kya likhu kya chod du~*~

kya likhu kya chod du
kaisi ajab ye mushkil hai
baat badi hai zindgi hai thodi
us par dil mei kitni uljhan hai

meine socha kyu ye tuta
dil jise kehte sab mandir hain
paak zamin hai paak hain hamtum
fir kyu har insaan bana ab khuni hai

rang gulal ka fika hai ab
khooni bani ab holi hai
deep jale par mite na andhiyara
kaisi ajab ye paheli hai

pyaar hai seekha pyaar hai baata
fir bhi rishto mei durri hai
“Bhawna” na samjhi na jaan saki
kyu preet parayi hoti hai

Monday, March 2, 2009

~*~ajeeb baat hai~*~



Ajeeb baat hai k duniya
Ajeeb mijaaz hai
Koi boond paani ko hai taras raha
Kisi k haatho mei jaam hai

Har koi duhaai deta hai bas
Apne hi gum-o-saaz ki
Jabki yahaaan rangeen mehfilo mei bhi
Kuch dil veeraan hai

Kise hosh hai khabar kise yaar ki
Har kisi ka to bas chehra fareb hai
Rishto ko rond rahei hain sab paise ki aad mei
Khoon bik raha ab maati k mol hai

Bebas aur laachari k ham tum bhi shikaar hai
Shayar yu to is mehfil mei hazaar hain
Koi khud par likhe to kisi ne dusro ka gam liya udhaar
Ye duniya kuch nahi bas sukh –dukh ka ek bazaar hai

zindgi mei ab or koi chahat nahi ...... ae bewafa mujhe teri ab chahat nahi