zindgi k is mod par har sach ubhar kar aaya hai
samjha liya meine ab dil ko ki preet is jag ki jhuti hai
baap-bhai,beta ya biwi har rishta hi khota hai
dekh liya BHAWNA ne ab parakh kar har rishte ki dor kacchi hai
wafaa-prem se is jag ka koi naata nahi
waqt ne dikhla diya har cheez yahaan par bikti hai
bhai hai bhai ka dushman, maa khud beti ki vyapari hai
til-til kar bilakh rahi zindgi kaise kahu kya laachari hai
vishwaas k naam par har dil mei basaa dhoka hai
kaise samjhe BHAWNA har chehre par chadha mukhota hai
masumiyat bachon k chehre ki ab dekhne ko bhi milti nahi
jaat dharam k naam par mandir mazid mei bhi ab milti roti hai
dil dukhta hai ye sochkar ab mera doston
sona ugalne wali ye dharti ab khoon k aansu roti hai
1 comment:
wah bhawna ji wah kya baat hai, realty ko jaise aapne sabdo mai dhala hai sach mai ye karna ek bahut badi baat hai, madam ji dil se daad kabool farmayen aap
Post a Comment